Posts

Ulzan ..🖤

Zindagi se aab na hume koi Gila hai... Chahat ke angan me koi baharo sa khila hai... Dohra rahe hai kuch lamhe, lekin Naya sa silsila hai... Teri bahon me hume, ik sukoon sa Mila hai... //1// Dhund rahe the jinhe hum unn bewafaon me... Kho jate the aksar, unke andhere Jahan mein... Reh jate the tanhaiyon ki gehraiyon Mai kuchh aise..., Khayalon ki gardish me chalte, musafir hai jaise... //2// Pyar ko humne diye the mauke, yehi kuchh hazaar... Tootte huve Rishte ko, jodna chaha tha har baar... Bigadte Gaye halaat aur badal gaye unke jazbaat .... Aap hi bataye kaise Kar le kismat par phir se aitbaar.... //3// Mere jahan se gham k badal hat chuke hai shayad... Meri ankho se dard k asu mit chuke hai shayad... Akele jeene lene ki, khud se pyar karne ki lat ye hum khud ko, laga chuke hai shayad...... //4// Phir apke aa jane se ,ye kyu ho raha hai... bita hua lamha ,khud ko dohra Kyu raha hai... Vo beeti hui har bat ka khud ko dohrana..... Vo dil aur dimag ka zuban se ,phi

Aap Milkar bhi Hume Milte hi nahi...👫

Lafzon se pare jazbat..wo samzate hi nahi... Palakon me chhipayi mohobbat, wo dhundate hi nahi... iss zamaane ke upar kabhi, vo uthate hi nahi... vo milkar bhi hume, kabhi milte hi nahi...//1// Zamaane ko humare milane se, taqraar bahot hai... Bahaane banane se unko bhi, inqaar bahot hai... Jo iqraar se pehle hi unhe takraar bahot hai... Shayad humara dil bekaar hi, beqaraar bahot hai..//2// Kaid ho gaye hai wo jis zamaane ki bediyo me... Tod gaye the hum unhe unki ek zalak ki khahish me//  Bedard ho gaye wo us zamane ki khidmat me.. Bair humne kia apnon se unki har ek guzarish pe//  Mohobbat hai ye, ya sauda hai koi... Har mulaqat jo adhuri kahani si hai royi..  Na jaane ye dard khatm hota nahi hai... Unse millkar bhi chain humko milta nahi hai..//3// Dil ke Armaan humare ab sataye huve hai... Jaane kyu ye khafah aj unse huve hai... Diljale silsilon se toh hum lipate huve hai... Dard ki aadat se hum jo bigade huve hai...//4// Wo bebuniyaad si salakhon ko langhkar ate hi nahi... Dil ki

तुझे इजाज़त है । ❤️💔

तेरी राह तकती रहती है, मदहोश बनी यह फिरती है, कभी निंद से जगा जाती है कभी खुल कर लाम्हो को सिंचती है । तुझे मिलने से पहले मेरी निगाहें,  न जाने कितनो में तुझे देख लेती हैं।। हां अनदेखा मगर मुझें करने की, तुझे इजाज़त है ।।१।। तेरे हर अल्फ़ाज़ समजते है उनकी नज़्म अक्सर यह बुनते है... बुराईयां हो, तारीफें हो या तेरी, तेरे हर अफसाने को दिल पर ये लेते है , बातें क्या चीज़ है तेरी ; मेरे कान , तेरी खामोशियों को भी सुनते है।। हां अनसुना मगर मुझे करने की,  तुझे इजाज़त है।।2।। तेरी तारीफें सुनाती है, तेरे गीत हर पल गाती है, इठलाकर तेरा नाम लेते हि ; इतराकर फिसल भी जाती है।। कभी चुपचाप रहकर मेरी ज़ुबान, तुझे कितना कुछ कह जाती है ।। हां अनजान मगर बन जाने की तुझे इजाज़त है ।।3।। तेरे इंतज़ार में सैर ये करते है, कुछ दूर तक ये चलते  है , मेरे खयालों से आगे बढ़कर कभी ; तेरी ओर क्यों अक्सर मुड़ते है कई रास्तों से हो कर भी मेरे पैर सिर्फ तेरी मंज़िल के मोहताज होते है।। हां गुमशुदा मगर हो जाने की, तुझे इजाज़त है ।।४।। महकते है चहकते है , लहरों के भांति ये उछलते है तुझे खोने के डर से जज़्बात मेरे  बेहेकत

Kuchh Lamhe Aspataal Me....

Dost the aap k vaha, aur rishtedaar bhi the kaee... Apne the kuchh thehre huve aur kuchh paraaye bhi sahee... Kuchh jaan Kar anjaan ban Gaye, kuchh anjane me aye hi nahi... Lipate huve the aap dard se aspataal me... Aur hum bebasi se ladte, thehre huve the  vahi....//1// Chal Raha tha din ,roj ki hi sawari ko liye.. Ulaz Gaye the hum bhi, nayi pareshaniyon ko liye... Gin rahe the har ik lamha ,us shaam  se pehle Wala ... Jis shaam me mulakaat kiya karte hai hum do, aur vo chay ka pyala....//2// Us aandhi ka sandesa liye ik paigaam Jo aa gaya... Hume darr ne gher liya aur ik matam sa chha gaya .. k hum ladkhadaane lage , khud ko savaarne lage .. Pal pal Hausale bhi humare ,bikhar Jane lage... Ajnabee geet sa Dil me chalne laga... Kuch ajeeb dard sa, Dil kuchalne laga... Jo sifarish Kar rahe the ,hum apne khuda-e-ibaadat se... Vo bujdil aab hume patthar ke bhati lagne laga....//3// Pareshaniyon se bhare log, aur Charo or the mareej bhi.. Kuch qamayab aur kuch naye ,waha vyast the Hakeem

IZHAAR SE PEHLE .. 💑

Ye kaisa dard Hume ,diye ja rahe ho... Bigadi adat tum Meri, bane jarahe ho... Khwahishon ko gehraiya diye ja rahe ho... Apni ore muze yun, liye ja rahe ho... //1// Teri najron se najre Mila na saku Mai... Teri harkaton se najre hata na saku Mai.... Teri najron k Daman me rehna chahe jo nigahe, Unko chahkar bhi tuzse Mila na saku Mai..... //2// Tuze batani hai muze batein vo kaiee ... Zuban Tak ati hai lekin, fisal jati hai kahi... Tuzse Milne k bahane banau Mai kaee... Magar in koshishon ko ,kamiyabi Milne se rahi😅.... //3// Tujhe chhune ki koshishe karu Mai is kadar .., ki tu mujhe chahane lag jaye .... Tuze lage na vo galat aur, mere tanha Dil ki pyaas bhi bujh Jaye...// Aakhir kis tarah se chahu Mai tuzko , Kyu na tuzise puchha Jaye... Tuze paane ki jurrat karu Mai har dafa, bass ik vo tareeka toh samaz aye.... //4// Toh Garaj jau Mai tuzpe inn badalon ki tarah... Baras jaau mai tuzpe unn Barsaton ki tarah... Chhu lu tuze halke se, hawaon ki tarah... Mehek jau T

TUM MERE HAQDAAR HO....

Meri Raah se andhera Mitane wale ,Jalaal ho tum... Ae mere dard ko Mitane wale , Kamaal Ho tum... Naye Khwab jagane wale Alfaaz ho tum... Kabhi ajnabee the par aab mere Khaas ho tum.... ♥️//1// Ik ajeeb si kashm-kash me jee rahi thi Mai... Apne hi khayalo se khud ko Chheel rahi thi Mai.... Duniya ne kahi baton ko keh keh kar ... Khud ke hi hothon ko seel rahi thi Mai....♥️// ... Uss Kashm-kash ko Mitane wale Karaar ho tum... Mera khud se huva hai Jo, Vo Ikaraar ho tum... Mai misalein du tumhari  ,par Bemisaal ho tum.... Kyu ki iss Dil ko sambhalne wale Peheredaar ho tum....//2// Dil baith sa Gaya tha ,aur tanhayee noch rahi thi.... Ye kaisa mod hai Zindagi ka ,ye Mai soch rahi thi..... Aakhir kiska aitabaar karu ye Rab se poochh rahi thi.... Mere hausalon ki Mashaale Yun hi Booz rahi thi....♥️// ..... Meri Tanhayee ko mita de jo ,Lalkaar ho vo tum... Muzme shayari dhundne wale ,mere Gulzar ho tum.... Mere jashn k mehfilon ki Jaan Ho Tum.... Muze behlane wali kal

Tum Mere Ban Jana ♥️

Tum Baarishe liye ana....Zindagi Rookhi hai badi... Tum barsaate aisi Lana , Bhiga de Jo Meri har ghadi ... Tum khwahishon ko jatana , Adhoori hai Jo padi.... Tum manzil vo ban jana, jiski Rah par hu Mai khadi ....//1// Kuchh bhool jau Mai toh yad tum dilana ... Kahi behek jau Mai toh Raah tum dikhana ... Kabhi thehre huve lamhe ko yadgaar tum banana... Kabhi Sehem jau Mai ,toh tum muze sambhalna ... Kabhi  Dil me utar jao is tarah najron ko Milana.... //2// Kabhi intezaar me mere , shaam bhi dhal jayegi.... Kabhi  ikraar hone  me , badi deri ho jayegi.... Kabhi  Meri baton se ek paheli ban jayegi..... To intezaar Mai tum mere Ranjha ban jana.... mere Ikraar ke intezaar me  machal tum Jana... Meri baton ki paheli ko Yun hi tum sulzana .... Muze pasand hai Jo geet , unki dhun hi tum ban Jana.... Iss tarah har roj  har Dafa ...Tum Mere Ban Jana.... //3//