Aap Milkar bhi Hume Milte hi nahi...πŸ‘«

Lafzon se pare jazbat..wo samzate hi nahi...
Palakon me chhipayi mohobbat, wo dhundate hi nahi...
iss zamaane ke upar kabhi, vo uthate hi nahi...
vo milkar bhi hume, kabhi milte hi nahi...//1//

Zamaane ko humare milane se, taqraar bahot hai...
Bahaane banane se unko bhi, inqaar bahot hai...
Jo iqraar se pehle hi unhe takraar bahot hai... Shayad humara dil bekaar hi, beqaraar bahot hai..//2//

Kaid ho gaye hai wo jis zamaane ki bediyo me...
Tod gaye the hum unhe unki ek zalak ki khahish me// 
Bedard ho gaye wo us zamane ki khidmat me..
Bair humne kia apnon se unki har ek guzarish pe// 
Mohobbat hai ye, ya sauda hai koi...
Har mulaqat jo adhuri kahani si hai royi.. 
Na jaane ye dard khatm hota nahi hai...
Unse millkar bhi chain humko milta nahi hai..//3//

Dil ke Armaan humare ab sataye huve hai...
Jaane kyu ye khafah aj unse huve hai...
Diljale silsilon se toh hum lipate huve hai...
Dard ki aadat se hum jo bigade huve hai...//4//

Wo bebuniyaad si salakhon ko langhkar ate hi nahi...
Dil ki dhadkanon se hume pukarte hi nahi...
Zamane se pehle hume jo rakhte hi nahi...
Wo milkar bhi hume..milte hi nahi....
Wo milkar bhi hume..milte hi nahi...//5//



Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

IZHAAR SE PEHLE .. πŸ’‘

Tum Mere Ban Jana ♥️