Posts

Showing posts from October, 2019

Kuchh Lamhe Aspataal Me....

Dost the aap k vaha, aur rishtedaar bhi the kaee... Apne the kuchh thehre huve aur kuchh paraaye bhi sahee... Kuchh jaan Kar anjaan ban Gaye, kuchh anjane me aye hi nahi... Lipate huve the aap dard se aspataal me... Aur hum bebasi se ladte, thehre huve the  vahi....//1// Chal Raha tha din ,roj ki hi sawari ko liye.. Ulaz Gaye the hum bhi, nayi pareshaniyon ko liye... Gin rahe the har ik lamha ,us shaam  se pehle Wala ... Jis shaam me mulakaat kiya karte hai hum do, aur vo chay ka pyala....//2// Us aandhi ka sandesa liye ik paigaam Jo aa gaya... Hume darr ne gher liya aur ik matam sa chha gaya .. k hum ladkhadaane lage , khud ko savaarne lage .. Pal pal Hausale bhi humare ,bikhar Jane lage... Ajnabee geet sa Dil me chalne laga... Kuch ajeeb dard sa, Dil kuchalne laga... Jo sifarish Kar rahe the ,hum apne khuda-e-ibaadat se... Vo bujdil aab hume patthar ke bhati lagne laga....//3// Pareshaniyon se bhare log, aur Charo or the mareej bhi.. Kuch qamayab aur kuch naye ,waha vyast the Hakeem