Kuchh Lamhe Aspataal Me....

Dost the aap k vaha, aur rishtedaar bhi the kaee...
Apne the kuchh thehre huve aur kuchh paraaye bhi sahee...
Kuchh jaan Kar anjaan ban Gaye, kuchh anjane me aye hi nahi...
Lipate huve the aap dard se aspataal me...
Aur hum bebasi se ladte, thehre huve the  vahi....//1//

Chal Raha tha din ,roj ki hi sawari ko liye..
Ulaz Gaye the hum bhi, nayi pareshaniyon ko liye...
Gin rahe the har ik lamha ,us shaam  se pehle Wala ...
Jis shaam me mulakaat kiya karte hai hum do, aur vo chay ka pyala....//2//

Us aandhi ka sandesa liye ik paigaam Jo aa gaya...
Hume darr ne gher liya aur ik matam sa chha gaya ..
k hum ladkhadaane lage , khud ko savaarne lage ..
Pal pal Hausale bhi humare ,bikhar Jane lage...
Ajnabee geet sa Dil me chalne laga...
Kuch ajeeb dard sa, Dil kuchalne laga...
Jo sifarish Kar rahe the ,hum apne khuda-e-ibaadat se...
Vo bujdil aab hume patthar ke bhati lagne laga....//3//

Pareshaniyon se bhare log, aur Charo or the mareej bhi..
Kuch qamayab aur kuch naye ,waha vyast the Hakeem bhi...
Kuchh durust ho Gaye Jo, Khushi se jhum rahe the vo.....
Aur ilaaj tha kisika ,bediyon se Kam nahi.......//4//

Inhi khayalon me khoye the, hume kisi ne bahar khich liya..
Aap se milne k liye jaise kisi farishte ne Raza de diya...
Daude chale aye aap ki halat ko niharne...
Aankhe ho gayi thi num, magar hum lage khud ko sawarne......//5//

Hum apne gham ko chhipane ki koshish si Kar rahe the....
Aap k dard ko baant lene ki khwahish si Kar rahe the...
Uff Jo sun li Humne, kampti hui ap ki awaaj se...
Dard Dene wale ki tauheen bhi Kar li, humne Dil-o-jaan se...... //6//

Aahat thi khed ki...chaukat pe aa khadi...
Daaman jo aap ka...Jakhmone  bhar diya  ...
Saaya tha maut ka...magar kismat bhi saath thi...
Kubool ho gayi... Jo sifarish ye jaan ki...
Jise chot lag gayi...vo jaan hai Meri...
Jo Khuda ne jaan baksh di, sukoon ki sabaa bhi aa gayi...
Mere IRAM se ho Kar Meri, har duva bhi mehekaa gayi...//7//

Aab dil ke armaan hai ki unke qareeb hi rahu...
Unki dard bhari karwaton se ab Mai bhi ho gujaru....
Unki khairiyat theek hone Tak Mai muntajir rahu...
Muskura de vo kuch aise, unse guftagu karu...//8//

Mere saath hone se jo sukoon hai unke rukhsaar me...
Akele chhod du Mai kaise , unko bure haal me...
Khushiyon se pehle gham ko  humne chakh liya hai is haal me....
Vo Chand lamhe mushkilo ke...Jo gujare hai  aspataal me...  //9//...

                          __$hriya Kore.

......,......,......,......,......,......,......,......,.......,........,

Comments

  1. Very interesting and a realistic one... #great poem#kvnda#efforts

    ReplyDelete
  2. The Baccarat Rules Explained - FEBCasino
    One of the best ways 온카지노 to 인카지노 learn the game is to master the basic rules and concepts This is a very straightforward 바카라 사이트 strategy for many players.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aap Milkar bhi Hume Milte hi nahi...👫

IZHAAR SE PEHLE .. 💑

Tum Mere Ban Jana ♥️